TOP 70: Amitabh Bachchan's most memorable dialogues
TOP 70: Amitabh Bachchan's most memorable dialogues
Amitabh Bachchan turns 70 on October 11, 2012 and for our super star here are his top 70 memorable dialogues from his movies.
1)
Rishte me to hum tumhare baap lagte hain, naam hai Shahenshah." – Shahenshah
2)
"Pura naam, Vijay Dinanath Chauhan, baap ka naam, Dinanath Chauhan, maa ka naam, Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal..." – Agneepath
3)
"Yeh telephone bhi ajeeb cheez hai -- aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai aur karta kuch hai." – Agneepath
4)
"Pagar badao... pandrasau rupiye me ghar nahin chalta, saala imaan kya chalega?" – Agneepath
5)
'Vijay Dinanath Chauhan; poora naam, baap ka naam Dinanth Chauhan, maa ka naam Suhasini Chauhan, gaon Mandwa, umar chhattis saal, nau mahina, aath din, yeh solvaan ghanta chal rahela hai... haain?' -Agneepath
6)
"Is duniya mein do tarah ka keeda hote hai. Ek woh jo kachre se uthta hai. Aur doosra woh jo paap ki gandegi se uthta hai. Kachre wala keeda insaan ko bimaar kar deta hai. Magar paap ki gandegi ka keeda saare samaaj ko bimaar kar deta hai. Kachre ke keede ko maarne ke liye flit bazaar mein milta hai. Magar paap ke keede ko marne wala flit, saala, bana hi nahi hai aaj tak." - Hum
7)
"Apni sharto par chalne wale ko keemat chukani padati hai, mujhe jo sahi lagta hai wo mai karta hu" - Sarkar Raj
8)
Chain khuli ki main khuli ki chain.' - Satte Pe Satta
9)
"Jao pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mera baap ko chor kaha tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne meri maa ko gali deke naukri se nikal diya tha; pehle us aadmi ka sign le ke aao jisne mere haath pe ye leekh diya tha..ye.. Uske BAAD, us ke baad, mere bhai, tum jahan kahoge main wahan sign kar doonga." – Deewar
10)
"Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah haqeeqat ki chattanon se takrakar toot jaate hain." – Deewar
11)
Main aaj bhi phenke hue paise nahin uthata'. - Deewar
12)
"Moochein ho to Nathulal jaise warna na ho." – Sharabi
13)
"Do aansoo is aankh se gire, phir do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Phir do is aankh se, do us aankh se. Kitne huye?...Nau lakh ke haar ke liye, barah lakh ke aansoo? Daddy hote to kehte: Vijay, tumhe business karna nahi aata?" - Sharabi
14)
"Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai." – Sharabi
15)
"Sooryavansh ek aag hai jisme doston ke liye jitni jyoti hai, dushmanon ke liye utni hi jwala. Bhoon dalo is kambaqt ko." - Sooryavansham
16)
"Jiske seene mein dil hi nahin, usse dil ka daura kya padega?" - Coolie
17)
"Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa." – Laawaris
18)
"Apun woh kutte ki dum hai, jo baara baras nalli ke andar daal ke, nalli tedi hoti, apun seedha nahin hota!" - Laawaris
19)
Yeh tumhare baap ka ghar nahin, police station hai, is liye seedhi tahrah khade raho." – Zanjeer
20)
"Arre yeh jeena bhi koi jeena hai, Lallu?" - Mr Natwarlal
21)
"Jis tarah gobhi ka phool, phool hokar phool nahi hota, waise hi gainde ka phool bhi phool hokar phool nahi hota" - Chupke Chukpe
22)
"Bachpan se hain sar par Allah ka haath, aur Allah Rakha hai mere saath, baazu par hai saathsau chhiyaasi ka billa, bees number ka beedi peeta hoon, kaam karta hoon coolie ka aur naam hai Iqbal." - Coolie
23)
"Aur aap, Mr R K Gupta, aap mere naajayaz baap hai. Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin maine aap se jyaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr R K Gupta." - Trishul
24)
"Sahi baat ko sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon." – Trishul
25)
"You are right, Mr R K Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony mein agar aapko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega." – Trishul
26)
Aaj aapke paas aapki saari daulat sahi lekin aapse bada garib maine zindagi main nahi dekha.' - Trishul
27)
"Govardhan seth, samundar mein tairne waale kuoon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain." - Muqaddar Ka Sikander
28)
"Aur waise hi, main is ko yahan nahi maroonga, warna log kahenge Sikandar ne apne ilake me usey mara." - Muqaddar Ka Sikander
29)
Sikandar kabhi kanoon ko apne haath mein nahi leta. Aur waise bhi main isse yahan nahi maarne wala tha. Yeh mera ilaaka hai. maar khaane ke baad yeh mujhe badnaam karta ke Sikandar ne apne mohalle mein bulake peet daala. Nahi isse toh main iske ghar mein hi jaakar maroonga'. - Muqaddar Ka Sikander
30)
"Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai." – Don
31)
Don ka intezar toh gyaarah mulkon ki police kar rahi hai. Lekin Soniya, ek baat samajhlo Don ko pakadna mushkil hi nahi, namumkin hai'. - Don
32)
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata hai – Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne padti to shadab ho bhi sakti thi. - Kabhi Kabhie
33)
Badi himmat chahiye, Vijay Sahab, bada hausla chahiye iske liye. Daag daaman pe nahi dil pe liya hai maine'. - Kabhi Kabhie
34)
"Hum bhi to roz khatro se khelte hai." – Sholay
35)
"Partner, ab bol hi diye ho to dekh lenge." - Sholay
36)
"Aurto ko eenhone ek ghante mein sikha diya hai." - Sholay
37)
"Jo kal hua, woh dobara nahi hoga." – Sholay
38)
"Ghadi Ghadi drama karta hai, saala." – Sholay
39)
Tumhara naam kya hai, Basanti?' - Sholay
40)
"Narang saab, yeh kaam koi bhi insaan akele kar sakta tha, basharte ki use bhi meri hi tarah yeh pata hona chahiye ke woh is duniya mein akela aaya hai aur akela hi jaayega, isliye agar usey kuch karna hai toh woh bhi akele hi karna hoga." – Shakti
41)
Koi sawaal nahi chahiye. Akela jee sakta hoon toh akela mar bhi sakta hoon. Meri maa ko maar diya usne. Yeh wohi aadmi hai jisne meri maa...Yeh toh hona hi tha ek na ek din yeh toh hona hi tha lekin ab sab khatm ho gaya. Bahut koshish ki apne dil se aapki mohabbat nikal doon lekin mein hamesha aapse pyaar karta raha. Chaha kin a karoon lekin aisa kyun, kyun aisa?' - Shakti
42)
"Main aur meri tanhaai -- aksar ye baatein karte hai...." – Silsila
43)
"Daaru peene se liver kharab ho jaata hai." - Satte Pe Satta
44)
"Is Imaarat ki neev itni majboot hai ke koi Raaj Aryan Haathon me Violin aur chehre pe Muskaan liye uski ek bhi eeint Hilane ke liye kadam nahi rakh sakta" Mohabbatein
45)
"Parampara, Pratishtha, Anushasan. Ye is gurukul ke teen stambh hai. Ye wo aadarsh hain jinse hum aapka aane waala kal banaate hain." – Mohabbatein
46)
"Ek phool de dona ma, wahan ees ke mafak koi kadak afsar mil gaya to ooske hum yeh phool deke apun ka baap bana denga." - Amar Akbar Anthony
47)
Aisa toh aadmi life mein doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho ya police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai, bhai?' - Amar Akbar Anthony
48)
"Anand mara nahi, Anand marte nahi." – Anand
49)
"Ek rahen iir, ek rahen beer, ek rahen patte aur ek rahen hum." - Adaalat
50)
"Wahan se tumhe yeh cheh dikh raha hoga. Lekin yahan se mujhe yeh nau dikhta hai. Yeh farq is liye hai kyonki tum isse apni jagah se dekh rahe ho aur main apni. Hum dono apni apni jagah sahi hain. Bas humare dekhne ka nazariya alag alag hai. Hum dono ke beech mein yeh farq saari zindagi bana rahega. Isliye tum wohi karo jo tum apna farz samajhte ho. Aur main wahi karoonga jo main apna dharam samajhta hoon. Agar main jeeta toh tumhe apne pita pe garv hoga. Lekin kahin agar tum jeet gaye to mujhe bhi apne bete pe garv hoga lekin meri aatma ko shanti nahi milegi." - Aakhree Raasta
51)
"Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahin se shuru hoti hai." – Kaalia
52)
"Kallu se Kaalia ka safar shuru." - Kaalia
53)
"Aap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai, jailer sahab, Kaalia ki himmat ka faulaad nahi dekha." – Kaalia
54)
Hum bhi woh hai jo kabhi kisi ke peeche khade nahi hote. Jahan khade ho jaate hain, line wahin se shuru hoti hai'. - Kaalia
55) .
"Yeh koyle ki khaan ek azgar hai seth sahaab, jo roz, anginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jissm se khoon ka ek-ek katra chooskar, ek laash ke roop mein ugal deta hai." -Kaala Paththar
56)
Lo kallo baat. Arre babuji, aisi English aave that I can leave angrez behind. You see sir, I can walk English. I can talk English. I can laugh English. Because English is a very phunny language. Bhairon becomes Baron and Baron becomes Bhairon because their minds are very narrow.' – Namak Halal
57)
Kacha papad, pakka papad'. – Yaarana
58)
DEWAAR" The famous MANDIR dialogues by Amitabh Bachan.
59)
60.
Amitabh Great Dialogue With Danny Dezongpa in Agneepath
61.
feke hue paise nahi uthta
62.
Don Scenes - Don Ko Pakadna Mushkil Hi Nahi, Namumkin Hain
63.
Sharabi Movie Scene
64.
scene from "zanjeer" movie
65.
KHUDA GAWAH - Sarzamine Hindustan-Assalam Alaykum
66.
AMITABH BACHCHAN "KHUSHBOO GUJARAT KI" GIR FOREST
67.
India Poised Anthem (Hindi)
68.
Harivansh Rai Bachchan Poems Recited By Amitabh Bachchan.
Madhushala
69.
Kabhie Kabhie Poem
70.
Iss Baar Nahin - Voice Amitabh Bacchan with Lyrics
Reality views by sm –
Friday, October 05, 2012
Tags – Big B Amitabh Bacchan Top Dialogues
9 comments:
Awesome... Long Live Big B!!!!!!
I wish i can understand your language
Being in the extreme South, I have watched a very few (earlier) movies of AB. I watched Sholey recently and I loved it. I know you have mentioned some movies here, but I request you to write a separate post on the Top Must Watch movies of Amithab Bacchhan. It will be very useful for people like me and also for the younger generation in the Hindi-speaking regions.
Destination Infinity
beautiful post .. how do you get ideas to write such wonderful posts!
@manaNmind
thanks.
@MEcoy
thanks.
@Destination Infinity
thanks.I will try to write the best of AB
@Rahul Aggarwal
thanks.
Nice post...Great Article..